|| Meri Bhavna ||
Jisne raag dwesh kaam-aadik jeete sab jag jaan liya,
Sab jeevo ko moksh marg ka nis-prah ho up-desh diya.
Buddh, Veer, Jin, Hari, Har, Brahma ya usko Swa-dheen kaho,
Bhakti-bhav se prerit ho yah chitt usi mey leen raho. ||1||
Vish-yo ki asha nahi jin-ke saamya bhav dhan rakh-te hey,
Nij par ke hit-sadhan mey jo nish-din tat-par rah-te hey.
Swarth tyag ki kathin tapas-ya bina khed jo karte hey,
Aise gyani sadhu jagat ke dukh samuh ko har-tey hey. ||2||
Rahe sada sat-sang unhi ka dhyan unhi ka nitya rahey,
Un hee jaisee char-ya mey yah chitt sada anu-ratt rahey.
Nahi sata-u kisee jeev ko jhoot kabhi nahi kaha karu,
Par-dhan vanita par na lubha-u san-to-sham-rit piya karu. ||3||
Ahamkaar ka bhav na rakh-u nahi kisi par krodh karu,
Dekh doos-ro ki badh-ti ko kabhi na ir-shya bhav dharu.
Rahe bhavna aisee meri saral satya vya-vahar karu,
Baney jaha tak is jeevan mey auro upkaar karu. ||4||
Maitree-bhav jagat mey mera sab jeevo se nitya rahey,
Deen dukhi jeevo par mere ur se karu-na Srot bahey.
Dur-jan kroor ku-marg-rato par kshobh nahi mujh-ko avey,
Samya bhav rakhu mey un par aisee pari-nati ho javey. ||5||
Guni jano ko dekh hri-day mey mere prem umar avey,
Baney jaha tak unki seva kar-key yeh mann sukh pavey.
Ho-u nahi kri-ta-ghna kabhi mey droh na mere ur avey,
Gun-grahan ka bhav rahey nit, drish-ti na do-sho par javey. ||6||
Koi bura kaho ya achchha lakshmi avey ya javey,
Lakho varsho tak jee-u ya mri-tyu aaj hi aa javey.
Athva koi kaisa hi bhay ya la-lach dene avey,
To bhi nyay marg se mera kabhi na pag dig-ney pavey. ||7||
Hokar sukh mey magn na fuley dukh mey kabhi na gha-ba-ravey,
Parvat nadi sham-shan bhay-anak atvee se nahi bhay kha-vey.
Rahey adol akamp niniran-tar yah man dradh-tar ban javey,
Isht viyog a-nisht yog mey sahan-sheel-ta dikhla-vey. ||8||
Sukhi rahey sab jeev jagat kay koi kabhi na gha-ba-ravey,
Bair abhi-man chhod jag nitya naye mangal gavey.
Ghar-ghar charcha rahey dharm ki dushkrit dushkar ho javey,
Gyan-charit unnat kar apna manuj janm fal sab pavey. ||9||
Ee-ti bhee-ti vya-pey nahi jag mey vrish-ti samay par hua karey,
Dharm-nishth hokar raja bhi nyaay praja ka kiya karey.
Rog, mari, dur-bhik-sha na fey-le praja shanti se jiya karey,
Param ahinsa dharm jagat mey fail sarv-hit kiya karey. ||10||
Failey prem paras-par jag mey moh dur hee raha karey,
A-priya katuk-kathor shabd nahi koi mukh se kaha karey.
Ban kar sab ‘yug-veer’ hri-day se desho-nati rat raha karey,
Vastu-swaroop vichar khushi se sab dukh san-kat saha karey. ||11||
 
About us   |  Contact Us